Volume 07, Issue 10
Frequency: 12 Issue per year
Paper Submission: Throughout the Month
Acceptance Notification: Within 2 days
Areas Covered: Multidisciplinary
Accepted Language: Multiple Languages
Journal Type: Online (e-Journal)
ISSN Number:
2582-8568
Hindi sahitya mein kinnar samuday ki upasthiti keval kisi hashiye ke samuh ke jivan-varnan tak seemit nahin hai, balki yah laingik pahchan, samajik satta, parivarik sanrchna, bahishkar aur manviya garima se jude prashnon ko bhi samne laati hai. lambe samay tak kinnar vyaktiyon ko samajik drishti se ‘anya’ ke roop mein dekha gaya, jiska prabhav sahityik pratinidhitva par bhi pada. samkaleen hindi sahitya mein yah drishtikon dhire-dhire parivartit hua hai. kinnar patra ab keval karuna, hasya ya kautuhal ke patra na rahkar apni pahchan, icha, sangharsh aur adhikaron ke saath upasthit hote han. prastut shodh-patra ka uddeshya hindi sahitya mein kinnar samuday ke samajik yatharth ka alochanatmak adhyayan karna hai. neerja madhav ke yamdip, mahendra bhishm ke kinnar katha, pradeep saurabh ke teesri taali, chitra mudgal ke post box nan. 203 naalasopara, nirmala bhuradiya ke gulam mandi aur bhagwant anmol ke jindagi 50-50 jaisi kritiyon ke sandarbh mein samajik bahishkar, parivarik aswikriti, pahchan-sankat, shiksha, rojgar, aarthik asuraksha tatha sangharsh ki chetna ka vishleshan kiya gaya hai. adhyayan ka kendriya tark yah hai ki samkaleen hindi sahitya mein kinnar vimarsh ‘daya ke patra’ se ‘adhikar-sampann samajik vyaktitv’ ki or sankraman ko abhivyakt karta hai. saath hi yah adhyayan is baat ki bhi alochanatmak padtaal karta hai ki sahityik pratinidhitva kahin kinnar jeevan ko keval peeda aur vanchna ki sthir chhavi tak seemit to nahin kar deta.
kinnar samuday, kinnar vimarsh, samajik bahishkar, pahchan, asmita, pratirodh, hindi sahitya, samajik yatharth, pratinidhitv.