Volume 5, Issue 9
Frequency: 12 Issue per year
Paper Submission: Throughout the Month
Acceptance Notification: Within 2 days
Areas Covered: Multidisciplinary
Accepted Language: Multiple Languages
Journal Type: Online (e-Journal)
ISSN Number:
2582-8568
Sampurn Jivan ke vikas avm sikhane Ki prakriya hetu ECCE ek mahatvpurn aadhar hai. Is avastha mein ek advanced and special life care aur supporter ki jarurat hoti hai. Iska pure life mein ek sthai prabhav padta hai. Iske mahatvpurn component hain- samuchit dekhbhal aur Shiksha. Uchch gunvatta wale prarambhik bachpan shiksha karykram dwara bacche ke vikas ko aur gati pradan kiya ja sakta hai. Anukul vatavaran ke abhav mein bacchon ke vikas per nakaratmak aur durgami prabhav padta hai. Yahin se sakshik, samajik, nyaay awm aarthik samanta ki niw rakhi jati hai. Bacchon ke samgra vikas ke liye uchch gunvatta wali shiksha aur dekhbhal uplabdh karana behad jaruri hai. Hal hi mein sarkari aur gair sarkari sangathan mein kam kar rahe parivaron ke bacchon ki dekhbhal ke liye day Care Center aur mobile creach ka prachalan bada hai. Bharat jaise vishal desh mein proper planning, paryapt sansadhan aur prabhavi karykram ke madhyam se ECCE ko safal banaya ja sakta hai. Is Shodh Patra ka uddeshy ECCE ke prati logon mein jagrukta paida karna hai. Bacchon ka uchit mansik, samajik, naitik aur shaikshik vikas sunishchit karne ke liye ECCE mein gunvatta purn nivesh ki avashyakta hai. Prarambhik shiksha ka sarvbhaumikaran tabhi prapt kiya ja sakta hai jab iske sahaj pahunch un navjaat ahishu tak ho jo samajik aur aarthik roop se pichhde samaj se sambandhit hain. Aane wale varshon mein 0-6 varsh ki aayu ke pratyek bacche ko nishulk aur surakshit vatavaran mil ske yh hamara dayitv hona chahiye.
ECCE, sarvbhaumik pahunch, sanvaidhanik pravdhan, mobile creach